Har Tarah Ke Jazbaat Ka Elaan Hain Aankhen Sahir Ludhianvi Ghazal

 

Sahir Ludhianvi Ghazal

Har tarah k jazbaat ka elaan hain Aankhen

Shabnam kabhi shola kabhi tufaan hain Aankhen


Aankhon se badi koi tarazu nahi hoti

Tulta hay bashar jismein woh mizan hain Aankhen


Aankhen hi milati hain zamane mein dilon ko

Anjan hain ham tum agr Anjan hain Aankhen


Lab kuch bhi kahen is se Haqeeqat nahi khulti

Insaan k sach jhoot ki pahchaan hain Aankhen


Aankhen na jhukin teri kesi ghair k aage

Duniya mein badi cheez meri Jaan Hain Aankhen



ھر طرح کے جذبات کا اعلان ہیں آنکھیں

شبنم کبھی شعلہ کبھی طوفان ہیں آنکھیں


آنکھوں سے بڑی کوئی ترازو نہیں ہوتی

تُلتا ھے بشر جس میں وہ میزان ہیں آنکھیں


آنکھیں ہی ملاتی ہیں زمانے میں دلوں کو

انجان ہیں ہم تم اگر انجان ھیں آنکھیں


لَب کچھ بھی کہیں اس سے حقیقت نہیں کھلتی

انسان کے سچ جھوٹ کی پہچان ھیں آنکھیں


آنکھیں نہ جھکی تیری کسی غیر کے آگے

دنیا میں بڑی چیز میری جان ھیں آنکھیں